What is Binary code in Hindi बाइनरी कोड क्या है?

What is Binary code in Hindi बाइनरी कोड क्या है?
What is Binary code

Binary code jaisa ki naam se hi saf matlab samajh me aa raha hai ki ye koi code word hai. Yes! Ye ek code word bhasha hai matlab ki kisi baat ko code word me translate karna. Iske pich kai logic ho sakte hai ki ise kyo use ki jaye. To aaj isi topic pe baat karenge.
Agar hame koi baar secret matlab ki chupakar rakhni hai jaise ki koi naam, address, password aadi to ye method use secure rakhega kyoki aap jo kuch bhi chupana chahte ho vo kewal math se number me convert ho jayega. Koi andaja bhi nahi laga sakta ki ye kya hai.
Me aapko ek udaharan dekar samjhata hu. Agar mujhe ek urgent massage mere friend tak pahuchana hai lekin mujhe dar hai ki uske ghar me koi or person n dekh le. To me kya karunga ki us secret baat ko ek code word me badal kar mere friend ko bhejunga. Phir mera friend us code ko decode karke us massage ko aasani se padh payega.

Massage ko code me kese badle?

Internet pe ese kai apps hai jo code or decode ka kaam karte honge. Isme se kuch app to alag alag tarike se code generate karte honge. Me aapko ek badhiya app batane ja raha ho jo hai : Binary Code Translator.
Is app ko use karna bahut hi aasan hai. Is app ko download kar usme apna massage enter karna hai phir ye aapko ek code dega jise aapko apne friend ko bhejna hai. Aapka friend bhi isi same aap me aapka bheja code enter karega to use aapka massage mil jayega.
Agar is topic se sambandhit koi sawal ya sujhav ho to comment ke jariye jarur bataye.
Agar aapke paas bhi koi topic hai jise aap hamare saath share karna chahte hai to use apne naam or photo ke saath hamare email [email protected] par bheje. Hum use yaha aapke naam ke saath publish karenge.
 
 

One Comment

Comments are closed.