1 Day me blog ko search engine me kaise laye
Kya aapne bhi ek fresh naya blog banaya hai aur soch rahe hai ki aapki website ya blog ko search engine me kaise laye, to ye post padhte rahe kyoki me batane ja raha hu kuch secrets tips ki kaise aap blog ko 1 day me blog ko search engine me kaise laye.
Blog ko Search Engine me kaise laye
Must Read this: How to Get Fast Index Your Website in Google
The reason behind why your new website not showing on Google
Aage badhne se pahle aapko ye basic janana bahut jaruri ki aakhir aapki website Google par kyo nahi show ho rahi hai.
Appki website Google ya kisi bhi other search engine par show nahi ho rahi hai iske bahut sare karan hai jise hum ek-ek karke disqus karte hai.
1.Google ke paas data nahi hona: Ye sabse bada karan hai kyoki aapne website abhi-abhi nayi banai hai isliye kisi bhi search engine chahe vo Google ho ya Bing, aapki nai website ka koi data pahle se nahi hai. Isliye dhire-dhire jaise-jaise aapki website ka data Google ke paas aayega, vo Google me show karega.
2. Backlink ka n hona: Aapki nayi website ke paas koi backlinks nahi hai is vajah se aapki website kisi bhi others website se connect n hone ya kahe to others website ke saath relationship bond n hone ki vajah se aapki website nahi dikhegi.
3. Traffic na hone ki vajah se: Ye karan ye bhi hai ki aapki website par traffic nahi hai. Agar jyada traffic aapki website par aane lagega to bahut hi kam time me aapki website growth karne lag jayegi aur aapki earning bhi shuru hone lagegi. Bas iske liye aapko lambe samay thak maidan me tike rahna hai aur jamkar fight karni hai.
Mn: Fight karni hai?? yaar samajh me nahi aaya ki aakhi kahna kya chahta hai? Yaha fight se kya matlab hai?
Mukesh: Fight. Ha bilkul fight. Kyoki aap jo blogging kar rahe ho vo akele thodi n kar rahe ho. Shayad ho sakta hai ki aap jo article likh rahe ho vo koi or bhi usi same time pe likh raha ho and ye bhi to ho sakta hai ki dono article same time par publish ho rahe ho. To accept vahi hoga jo jyada badhiya hai. Or jyada badhiya aapko likhna hi padega kyoki aapko number 1 rank chahiye to ye fight ho hui n number 1 aane ki.
Mn: Ohh! ab main samjha ki aap kis fight ki baat rahe hai?
Mukesh: Good 🙂
Mn: Yaar muddhe se mat bhatak. Chal tricks bata kyoki mujhe jaldi se jaldi apna blog Google par laana hai.
Mukesh: Shaanti rakh bhai. Isase pahle hum confirm to kar le ki aakhir aapne jo webmaster submission kia hai ya nahi.
Mn: webmaster submission??
Webmaster submission
Agar aapne naya blog banaya hai agar aapne usme kuch article likhe bhi hai ya nahi bhi likhe hai to aapko apna blog Google and Bing etc. ke paas submit karane padenge. Iske liye aapko Google Search Console me sign up karke sitemap submit karni hogi phir hi Google aapke blog ko search list me enter karega varna aap ranking ke baare main bhul jaaye.
Mn: Bhul jaaye!!! Kyo bhai bhul jaye?
Mukesh: Are!!! ye bas kaha hai. Iska matlab hai ki aapko submit karna jaruri hai.
Mn: Ohhh! 🙂 lekin Google par sitemap submit kare kaise?
Mukesh: Iske liye aap Google karle. Bahut hi aasan step me ye kaam ho jayega. Lekin bahut important hai because aage hamare kaam aayega.
Mn: Thik hai. Ab ye pre-tips bahut hui. Ab mudde par aao. Google par 2 days me search engine par kaise laaye ye batao.
New blog ko Search Engine me kaise laye
Jab hum naya blog create karte hai to ise Google par aane me time lagta hai. Yahi nahi, article ke bhi Google par aane me kafi time lagta hai. Iske piche ek badhi vajah hai ki aapki website ka pahle astitv me nahi hona. Jaise-jaise aapki website ki links internet par Google bot ko dikhne lagegi, vaise-vaise aapki website Google par dikhni shuru ho jayegi.
1. Make Backlink
Google and Alexa par achchi ranking ke liye Backlink bahut hi important hai. Ab ye backlink kya hai aur backlink kaise banate hai iske baare me A2Z main pahle hi likh chuka hu jise padhne ke liye yaha click kare.
Mn: Bakclink banane se kya hoga?
Mukesh: Backlink ke ranking me ye benefits hai Mr Mn –
- Backlink banane se aapki website other website ke saath connect hoga and relationship badhegi.
- Google jab bhi un website ko fatch karega to aapki website bhi uski najar me aayegi jo bahut hi badhiya baat hai 🙂
- Alexa rank improve hogi.
- Aapke article Google me badhiya perform karege.
- Domain authority me improvement hoga.
Mn: Bhai, ye to bade kaam ki tips hai. Mukesh: Ab aage or bhi hai, zara us par bhi focus kar. Mn: Batao-batao
2. Share article on social media
Meri personal advice hai ki aap jaise-jaise article ya post publish kare to use social media jaise Facebook, Twitter, Google Plus, Pintrest etc. jo bhi ho, sab par share kare. Jitni jyada traffic social media se laa sakte hai utni koshish kare. Kyoki social media se traffic aana bahut hi badhiya hota hai website ki health ke liye. Esa isliye kyoki vo traffic organic hoti hai jiske karan aapki website ko baad me jakar bahut fayda karegi. Haali isase 2 din me aapka blog search engine par aane me jyada help nahi milegi leking aapke domain ki value badhegi jo ki bahut hi important hai. Or kuch sawal Mr. Mn? Mn: Nahi sirji. Maine to pahle hi ye step try kar chuka hu. Mukesh: Well done Mr Mn.
3. Submit sitemap to Google
Iske baare me me uppar pahle hi bata chuka hu ki aapko Google Search Consol me jakar aapni website ka sitemap submit karna hai. Sitemap generates ke liye aap Yoast SEO Plugin/Rank Math SEO Plugin ka use kare. ye dono advanse SEO Tools ahi jo bahut sare features ke saatb aate hai.
4. Fetch as Google
Is post “Website ko 2 days me Search Engine me Kaise Laye” me ye hamara sabse important action hai website ko quick Google par show karne ke liye. Fatch as Google aapke uncoverble pages ko Google me show karwane ke liye banaya gaya hai jiski madad se aap apne blog ko search engine me la sakte hai. Mr Mn: Ab ye Fatch as Google kaise karu. Mukesh: Follow this step- Step 1. Google Search Console me jaye. Click here to go. Step 2. Apni Property Choose kare. Step 3. Crawl > Fetch option me jaye. Step 4. Fatch par click and Request Index par click kare. Good, It is done. Yaha aapka kaam ho gya.
5. Check your website on other analysis and website information provider website.
Is article “Website ko 2 days me Search Engine me Kaise Laye” me ye bhi bahut important step hai. Is step me hume karna kya hai ki jitni bhi website ki information dene wali webiste hai, sabki ek badi si list ready karni hai. Ek choti si list maine bhi ready ki hai niche jise aap use me le sakte hai. Iske alava bhi bahut sari website ko apne level par find kare and usme apni website run karwaye. Ye tips aapke website ko bahut kam time me Google par dikhane me madad karega. Maine bhi is tips ko bahut baar try kia hai. Esi kuch website ki list maine niche di hai jiski aap try kre.
alexa.com/siteinfo/yourwebsiteurl.com
tatlia.com/yourwebsiteurl.com
cash81.com/yourwebsiteurl.com
whoisx.co.uk/yourwebsiteurl.com
statout.com/yourwebsiteurl.com
worth.im/www.yourdomain.com
nakedweb.org/yourwebsiteurl.com
georanks.com/yourwebsiteurl.com
worthlook.com/yourwebsiteurl.com
peekstats.com/yourwebsiteurl.com
www.whoisya.com/yourwebsiteurl.com
webworth.info/yourwebsiteurl.com
webrapport.net/yourwebsiteurl.com
www.aboutthedomain.com/yourwebsiteurl.com
page2rss.com/page?url=yourwebsiteurl.com
www.surcentro.com/en/info/yourwebsiteurl.com
websitevaluebot.com/www.yourwebsiteurl.com
www.siteadvisor.cn/sites/yourwebsiteurl.com
whois.tools4noobs.com/info/yourwebsiteurl.com
whois.ws/whois-info/ip-address/yourwebsiteurl.com
www.aboutdomain.org/backlinks/yourwebsiteurl.com
domainsearch101.com/domainsearch/yourwebsiteurl.com
uptime.netcraft.com/up/graph?site=yourwebsiteurl.com
www.esitestats.com/yourwebsiteurl.com
www.builtwith.com/?yourwebsiteurl.com
websiteshadow.com/yourwebsiteurl.com
websitevaluebot.com/yourwebsiteurl.com
whois.domaintools.com/yourwebsiteurl.com
www.who.is/whois-com/yourwebsiteurl.com
www.robtex.com/dns/yourwebsiteurl.com
www.quantcast.com/yourwebsiteurl.com
www.thegetpr.net/site/yourwebsiteurl.com
www.pageheat.com/heat/yourwebsiteurl.com
www.aboutus.org/yourwebsitesiteurl.com
www.www.cubestat.com/yourwebsiteurl.com
www.statbrain.com/yourwebsiteurl.com
statswebsites.com/yourwebsiteurl.com
www.quarkbase.com/yourwebsiteurl.com
Ab aap itni sari link and aapne jo bhi others find ki ho etc. ko alag-alag ek-ek karne open karne me bahut sara time lag jayega. Iske liye aap openmultipleurl.com website ki help le. openmultipleurl.com bahut sari link ko ek sath open kar sakta hai jisase time ki saving hoti hai and kaam jaldi & easily ho jaata hai. So friends, I hope ye post “1 day me blog ko Search Engine me Kaise Laye” aapko pasand aai hogi. Agar aapne man ke koi doub hai ya koi question hai to aap comment section me puch sakte hai.
Catch as Google ka option nahi mil raha hai.
URL Inspection tool ka use kare new Google Search Consol me ya Old Google Search Console par Fetch as Google find kare
Bhai bahut hi badhiya post hai isse kisi bhi new blogger ko apne blog ko jaldi rank me laane me bahut help hogi. Thank you bhai.
Thanks Rohit Singh
thanx sir for help
helpful sir..
it works ..
really helpful article ..
Amazed to be here and want to read this amazing info. kauwa aur saap ki kahani Thanks for this interesting article and I would really want to say thanks for this info…