Best Blogger Feature in Hindi

Hello friends, Bhale hi blogger bahut famous logo ki pasand nahi ho lekin kabhi n kabhi unhone blogger ka swad jarur chakha hoga. Main blogger ke baare me kuch aaj khas batane wala hu kyoki me ye bata sakta hu kyoki main kaafi lambe samay se blogger ka istemal kar raha hu or jo baat mene notice ki hai vo shayad WorldPress par mujhe achchi nahi lagi. Blogger blogging ki shruaat karne ka sabse badhiya platform hai kyoki ise istemal karna bahut aasan hai or yah bahut simple hai. Blogger par blog banana bas kuch minuts ya seconds ka kaam hai. Aaj hum kuch topic par baat karenge jo bahut ek shuruaati blogger ko pata hona chahiye.

Best Blogger Templates

Best Blogger Templates

Bhale hi blogger par jo blog aapne dekhe vo itne achche sajavat me nahi ho lekin blogger par bhi ek WordPress se bhi jyada achcha blog banaya ja sakta hai kyoki Blogger ke liye bhi internet par bahut saari free or khubsurat blogger templets hai jise aap apne blogg par aasani se use kar sakte hai. Blogger par templets ko edit karna bahut aapsan hai WordPress ke mukable.

Hosting & Speed

Blogger Google ke best and fastest server par hosted hai jisase hame Hosting se chutkara milta hai or hame Hosting ka alag se charge nahi dena padta hai or hame free me sabse best and fast speed milti hai. Agar aapka blog pahle se hio blogger par hai speed bahut slow hai to aap apne blog ki themes me shudhar kare.

Migrate from Blogger to WordPress

Agar hum blogger par blog ki shuruaat karte hai or hame agar baad me WordPress par jana chahte hai to hum aasani se ye kaam kar sakte hai kyoki WordPress pe bahut se plugin he jo kuch hi pal me aapka kaam kar denge.

SEO and Sitemap

As we all know, Agar hum apne blog ki shuruaat kare or kafi badhiya badhia post likhe but vo Search engine par show nahi hota ho to aapke post koi nahi padh payega kyoki kisi ko pata hi nahi chalega ki aap jo post likh rahe ho uski kisi ko jarurat hai because koi bhi hamesha kisi topic ki information ke liye Search Engine ka use karta hai jese – Google, Bing Yahoo! etc.
Agar aapka blog search engine par aayega tabhi aap jo likh rahe ho vo koi or padh payga. iske liye  aapko apne blog ki sitemap ko search engine ko submit karni hoti hai lekin agar aap blogger ka istemal karte hai to aapko ye step nahi karni padegi kyoki Blogger par ye pahle se hi khud hi ho jata hai jiske 24 ghanto me aapka blog Search engine par aa jata aata hai.

Earning

As you know Blogger par Adsense ka option pahle se hi de rakha hota hai isliye aapko bar-bar koi adsense code rakhne ki jarurat nahi hai. Shayad WordPress par bhi esa hota ho par Blogger par esa hi hota hai. Blogger par iske liye achchi traffic hona jaruri hai.

Write Post by Mobile

Hum har jagar apna Laptop etc. nahi lekar ja sakte but agar humare pas mobile hai to hum mobile se bhi post likh sakte hai kyoki iske liye kuch app Play Store par uplabdh hai jese Blogger, Bloggeroid etc.

To Dosto Aaj ke liye itna hi fir agli kisi post me apko Blogger Ke baare me badhiya jankari dunga.

3 Comments

Comments are closed.